main apne khvab se bichhda nazar nahin aata
to is sadi men akela nazar nahin aata
ajab dabao hai un bahari havaon ka
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahin aata
main teri raah se ha.tne ko hat gaya lekin
mujhe to koi bhi rasta nazar nahin aata
main ik sada pe hamesha ko ghar to chhod aaya
magar pukarne vaala nazar nahin aata
dhuan bhara hai yahan to sabhi ki ankhon men
kisi ko ghar mira jalta nazar nahin aata
ghazal-sarai ka daava to sab kare hain ‘vasim’
magar vo ‘mir’ sa lahja nazar nahin aata
Leave a Reply