musalsal tairne vaala bhi aksar haar jaata hai
samundar se jo bach nikle to dariya maar jaata hai
sharafat ka miri charcha sar-e-bazar kya pahuncha
jise dekho vahi aa kar mujhe lalkar jaata hai
sar-e-maqtal main jan-baḳhshi ki us se iltija kar ke
agar sar ko bacha luun to mira kirdar jaata hai
hamen chhu kar jo ban jaata hai miTTi se khara sona
vahi ik roz ham paras ko Thokar maar jaata hai
hamen talqin karta hai jo har lamha vo sajde men
ḳhuda jaane ki sachche dil se kitni baar jaata hai
main jab bhi ghar se niklun har taraf ik shor uThta hai
miyan dauḌo vo dekho ishq ka bimar jaata hai
jahan par farz ko ehsan samjha jaa.e hai ‘tashna’
tu apna haq talab karne vahan be-kar jaata hai
Leave a Reply