jis tarah hua jis taur hua har zulm gavara ho to gaya
ji ji ke mare mar mar ke jiye duniya men guzara ho to gaya
is fikr men huun is soch men huun anjam-e-baharan kya hoga
har shaḳh-e-nasheman jal to ga.i har phuul sharara ho to gaya
avara sahi nakara sahi divana sahi tum sa na sahi
ḳhud apna sahi main ya na sahi kya fikr tumhara ho to gaya
mub.ham hi sahi vazeh na sahi ik baar sahi paiham na sahi
itni bhi tavajjoh kya kam hai kuchh un ka ishara ho to gaya
ab Duben ki ubhren kuchh bhi ho sahil ki tamanna kaun kare
maujon ki siyasat dekh to li tufan ka nazara ho to gaya
is daur-e-taraqqi men insan ḳhud apni haqiqat pa na saka
fitrat ko musaḳhḳhar kar to liya duniya pe ijara ho to gaya
Leave a Reply