Ai Ham-Nafaso! Shab Hai Giran Jagte Rahna

ai ham-nafaso! shab hai girāñ jāgte rahnā

har lahza hai yaañ ḳhatra-e-jāñ jāgte rahnā

aisā na ho ye raat koī hashr uThā de

uThtā hai sitāroñ se dhuāñ jāgte rahnā

ab husn kī duniyā meñ bhī ārām nahīñ hai

hai shor sar-e-kū-e-butāñ jāgte rahnā

ye sehn-e-gulistāñ nahīñ maqtal hai rafīqo!

har shāḳh hai talvār yahāñ jāgte rahnā

be-dāroñ kī duniyā kabhī luTtī nahīñ ‘daurāñ’

ik sham.a liye tum bhī yahāñ jāgte rahnā

Leave a Comment