jis taraf dekho nazar aate hain ta.ane vaale
hain kahan naghma-e-dil-gir sunane vaale
kis se ruThenge bhala kaun mana.ega hamen
zinat-e-shahr-e-ḳhamoshan hain manane vaale
ab to ta.abir bhi bar-aks nazar aati hai
gum hue jaane kahan ḳhvab suhane vaale
ye zamane ka taqaza hai karun ah-o-buka
varna ye lab the hamesha se tarane vaale
kaise iz.har karun ishq-e-ḳhafi ka tum se
mujh ko majnun ka laqab denge zamane vaale
ye karishma bhi tumhari hi mohabbat se hua
miT ga.e ham ko zamane se miTane vaale
dhaḌkanen apne ahata se nikal aa.i hain
aisa lagta hai ki nazdik hain aane vaale
ḳhanjar-e-zulm ne yuun hi to gala chuma hai
ham hain neze pe bhi qur.an sunane vaale
ham to talvar ko ḳhud apni zaban dete hain
ham hain har haal men va.ade ko nibhane vaale
is se aage to faqat saath ‘falak hai mere
qabr tak ja.enge kandhon pe uThane vaale
Leave a Reply