jis taraf bhi dekhiye saaya nahin
phir bhi gulshan hai koi sahra nahin
log baiThe hain usi ki chhanv men
saa.e se jis peḌ ka rishta nahin
kaam agar aa.e nigah-e-haq-shanas
phir kisi pahlu koi dhoka nahin
haq-pasand mera dastur-e-amal
ya.ani bik jaana mira sheva nahin
dosto rakkho haqiqat par nazar
ḳhvab ankhon men kabhi palta nahin
us ki duniya men nahin qimat koi
jo kasauTi par khara utra nahin
vus.aten dil ki hain dariya ki tarah
kaun kahta hai ki dil dariya nahin
dard-o-gham vo kis ke samjhe ai ‘guhar’
apne ghar se jo kabhi nikla nahin
Leave a Reply