jis shajar par samar nahin hota
us ko patthar ka Dar nahin hota
aankh men bhi chamak nahin hoti
jab vo pesh-e-nazar nahin hota
mai-kade men ye ek ḳhubi hai
naseha tera Dar nahin hota
ab to bazar bhi hain be-raunaq
koi yusuf idhar nahin hota
jo sadaf sahilon pe rah jaa.e
us men koi guhar nahin hota
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us men asar nahin hota
gham ke maron ka jo bhi maskan ho
ghar to hota hai par nahin hota
ahl-e-dil jo bhi kaam karte hain
us men shaitan ka shar nahin hota
Leave a Reply