jis ne kiye hain phuul nichhavar kabhi kabhi
aae hain us ki samt se patthar kabhi kabhi
ham jis ke ho gae vo hamara na ho saka
yuun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi
yaan tishna-kamiyan to muqaddar hain ziist men
milti hai hausle ke barabar kabhi kabhi
aati hai dhaar un ke karam se shuur men
dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi
manzil ki justuju men jise chhod aae the
aata hai yaad kyuun vahi manzar kabhi kabhi
maana ye zindagi hai farebon ka silsila
dekho kisi fareb ke jauhar kabhi kabhi
yuun to nashat-e-kar ki sarshariyan milin
anjam-e-kar ka bhi raha dar kabhi kabhi
dil ki jo baat thi vo rahi dil men ai ‘surur’
khole hain garche shauq ke daftar kabhi kabhi
Leave a Reply