jis ko sab kahte hain samundar hai
qatra-e-ashk-e-dida-e-tar hai
abru-e-yar dil ka khanjar hai
mizha-e-yar nok-e-nashtar hai
chashm-e-ashiq se do bahe dariya
ek tasnim ek kausar hai
khana-e-dil hai ghair se khali
shauq se aao aapka ghar hai
qatai aaj faisla hoga
teri talvar hai mira sar hai
ab to dhuni rama ke baithe hain
dar-e-janan pe apna bistar hai
tamaa har ik ka din-o-iman hai
jis ko dekho vo banda-e-zar hai
khuub dil khol kar jafa kar lo
banda muddat se is ka khugar hai
baam par jalva-gar hai vo shayad
ku-e-janan men shor-e-mahshar hai
karta aalam ko aah se barham
lek ‘raana’ ko yaar ka dar hai
Leave a Reply