• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jin Raaton Mein Nind uD Jati Hai Kya Qahr Ki Raaten Hoti Hain

Jin Raaton Mein Nind uD Jati Hai Kya Qahr Ki Raaten Hoti Hain

jin raton men niind uḌ jaati hai kya qahr ki raten hoti hain

darvazon se Takra jaate hain divaron se baten hoti hain

ashob-e-juda.i kya kahiye an-honi baten hoti hain

a.ankhon men andhera chhata hai jab ujali raten hoti hain

jab vo nahin hote pahlu men aur lambi raten hoti hain

yaad aa ke satati rahti hai aur dil se baten hoti hain

ghir ghir ke badal aate hain aur be-barse khul jaate hain

ummidon ki jhuTi duniya men sukhi barsaten hoti hain

ummid ka suraj Duuba hai a.ankhon men andhera chhaya hai

duniya-e-firaq men din kaisa raten hi raten hoti hain

tai karna hain jhagḌe jiine ke jis tarah bane kahte sunte

bahron se bhi paala paḌta hai gungon se bhi baten hoti hain

a.ankhon men kahan ras ki bunden kuchh hai to lahu ki laali hai

is badli hui rut men ab to ḳhunin barsaten hoti hain

qismat jaage to ham so.en qismat so.e to ham jagen

donon hi ko niind aa.e jis men kab aisi raten hoti hain

jo kaan laga kar sunte hain kya janen rumuz mohabbat ke

ab honT nahin hilne paate aur pahron baten hoti hain

jo naaz hai vo apnata hai jo ghamza hai vo lubhata hai

in rang-birangi pardon men ghaton par ghaten hoti hain

hansne men jo aansu aate hain nairang-e-jahan batlate hain

har roz janaze jaate hain har roz baraten hoti hain

jo kuchh bhi ḳhushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jaa.e

paiman-e-vafa bhi rahne do sab jhuTi baten hoti hain

jab tak hai dilon men sachcha.i sab naz-o-niyaz vahin tak hain

jab ḳhud-gharzi aa jaati hai jul hote hain ghaten hoti hain

himmat kis ki hai jo puchhe ye ‘arzu’-e-sauda.i se

kyuun sahab aḳhir akele men ye kis se baten hoti hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adil-mansuri

Ainak Ke Shishe Par

Maqam-E-Nur Ho Kar Rah Gaya Hai

adil-mansuri

Pani Ko Patthar Kahte Hain

Kahan Dhuan Hai Kahan Ghar Samajh Mein Aaega

Payam Gham Ka Wahi Gham-Gusar Dete Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet