jigar khuun ho ke bahar dida-e-giryan avega
yahi rona raha to aj-kal tufan avega
khabar aate hi puchhe hai zalim baith ja yak-dam
haqiqat sab kahunga mujh men jab ausan avega
na hai ab khak-afshani na hairani na uryani
junun gar aa gaya to le ke sab saman avega
padhunga pichhe naama men khuda ke vaste qasid
ye kah avval ki yaan tak vo kisi unvan avega
na ja ai jaan tuk tu aur bhi ik raat is tan se
suna hai kal ke din vo ghar mire mehman avega
kisi ki qadar jite-ji nahin maalum hoti hai
kare hai qatl par pichhe tujhe arman avega
gali men us but-e-khun-khvar ki ‘jurat’ chala to hai
va-lekin vaan se khuun men dekhna afshan avega
Leave a Reply