• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Jhonpada

Jhonpada

nazeer-akbarabadi

ye tan jo hai har ik ke utare ka jhonpada

is se hai ab bhi sab ke sahare ka jhonpada

is se hai badshah ke nazare ka jhonpada

is men hi hai faqir bichare ka jhonpada

apna na mol ka na ijare ka jhonpada

baaba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada

is men hi bhole-bhale isi men siyane hain

is men hi hoshiyar isi men divane hain

is men hi dushman is men hi apne begane hain

sha-jhonpada bhi apne isi men namane hain

apna na mol hai na ijare ka jhonpada

baaba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada

is men hi log ishq-o-mohabbat ke maare hain

is men hi shokh husn ke chand aur sitare hain

is men hi yar-dost isi men piyare hain

sha-jhonpada bhi apne isi men bichare hain

apna na mol hai na ijare ka jhonpada

baaba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada

is men hi ahl-e-daulat-o-munim amiir hain

is men hi rahte saare jahan ke faqir hain

is men hi shaah aur isi men vazir hain

is men hi hain saghir isi men kabir hain

itna na mol ka na ijare ka jhonpada

baaba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada

is men hi chor-thag hain isi men amol hain

is men hi roni shakl isi men thithol hain

is men hi baaje aur naqare-o-dhol hain

sha-jhonpada bhi is men hi karte kalol hain

itna na mol ka na ijare ka jhonpada

baaba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada

is men hi parsa hain isi men tavand hain

bedard bhi isi men hai aur dardmand hain

is men hi sab parand isi men charand hain

sha-jhonpada bhi ab isi dar be band hain

itna na mol ka na ijare ka jhonpada

baaba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada

is jhonpade men rahte hain sab shaah aur vazir

is men vakil bakhshi o mutasaddi aur amiir

is men hi sab gharib hain is men hi sab faqir

sha-jhonpada jo kahte hain sach hai miyan ‘nazir’

itna na mol ka na ijare ka jhonpada

baaba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpada

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kabhi Harif Kabhi Ham-Nawa Hamin Thahre

Phul Kaliyan Bhi Hum Bichhaenge

Azm-E-Manzil-Rasi Ki Baat Karen

poet

Zaban Chup Hai Magar Zehn Ro Raha Hai Lahu

Dil Ke Aaghosh Mein Wo Rahat-E-Jaan Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet