• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sare Aalam Mein Teri Khushbu Hai

Sare Aalam Mein Teri Khushbu Hai

poet

saare aalam men teri khushbu hai

ai mere rashk-e-gul kahan tu hai

barchhi thi vo nigah dekho to

lahu ankhon men hai ki aansu hai

ek dam men hazar daftar tai

chashm-e-hasrat ghazab sukhan-go hai

tu hi tu aur baal baal apna

fakhta aur shor-e-ku-ku hai

tujh ko dekhe phir aap men rah jaae

dil par itna kisi ko qaabu hai

josh-e-ashk o tasavvur-e-qad-e-yar

sarv goya khada lab-e-ju hai

had na puchho hamari vahshat ki

dil men har daagh chashm-e-ahu hai

jis ne momin bana liya ham ko

vo tumhara hi mus.haf-e-ru hai

jis ke kushte hain zinda-e-javed

vo tumhari hi tegh-e-abru hai

dil jo be-muddaa ho kya kahna

yahi virana alam-e-hu hai

pul bhi hai fakhr-e-jaunpur ‘asi’

khvab-gah-e-janab-e-shekhu hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kuchh Ghazlon Pe Ab Se Hairat Hoti Hai

Silsila Raushan Tajassus Ka Udhar Mera Bhi Hai

Kaif-E-Masti Mein Ajab Jalwa-E-Yaktai Tha

poet

Jaan Jaanan Pe War Di Humne

hasrat-mohani

Barkaten Sab Hain Ayan daulat-E-Ruhani Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet