main jo tanha rah-e-talab men chala
mera saaya mire aqab men chala
sub.h ke qafilon se nibh na saki
main akela savad-e-shab men chala
jab ghane jangalon ki saf aa.i
ek taara mire aqab men chala
aage aage koi bagula sa
alam-e-masti-o-tarab men chala
main kabhi hairat-e-talab men ruka
aur kabhi shiddat-e-ghazab men chala
nahin khulta ki kaun shaḳhs huun main
aur kis shaḳhs ki talab men chala
ek anjan zaat ki janib
al-gharaz main baḌe taab men chala
Leave a Reply