
Jawed Manzar
jazba-e-shauq ka iz.har kahan hota hai
yaan haqiqat pe bhi ḳhvabon ka guman hota hai
ahd-e-tifli men jise ziist ka hasil jaana
vaqt ka ab unhi baton men ziyan hota hai
tum hi aaoge miri ruuh men ḳhushbu ban kar
ye tasavvur bhi ajab rahat-e-jan hota hai
raat palkon pe sajata huun vafaon ke charagh
din nikalne pe ye andaz kahan hota hai
ishq-e-shorida ko ashkon se tamasha na bana
aag par paani ke paḌne se dhuan hota hai
mera mahbub hai kya puchhne vaale ab puchh
haan ye ‘manzar’ bhi shab-o-roz vahan hota hai

Leave a Reply