Jazba-E-Ishq Agar Dil Mein Na Paida Hota

jazba-e-ishq agar dil meñ na paidā hotā

maiñ samajhtā huuñ mire haq meñ ye achchhā hotā

is qadar shiddat-e-ġham par to yahī lāzim thā

dil na hotā mirā patthar kā kaleja hotā

be-ḳhudī hai ki tirī bazm meñ le aa.ī hai

hosh hotā to yahāñ kis liye rusvā hotā

ik nazar dekh ke kuchh aur baḌhā dī vahshat

is se achchhā to yahī thā ki na dekhā hotā

mujh ko manzūr na thī apnī hī shohrat varna

maiñ to vo thā ki mirā arsh pe charchā hotā

ziist bhī maut bhī donoñ ke tumhīñ ho mālik

munsifī ye thī ki haq ek pe merā hotā

kuchh haqīqat na sahī husn-e-aqīdat hī sahī

‘nūr’ jiine ke liye kuchh to sahārā hotā

Leave a Comment