jazb-e-dil kargar nahin hota
us ke dil par asar nahin hota
dard dil men agar nahin hota
baat men kuchh asar nahin hota
na kare tark pairvi jab tak
rah-rau rahbar nahin hota
rang laati nahin mohabbat kuchh
soz jab tak sharar nahin hota
nahin khulta dar-e-nashat-e-abad
chaak jab tak jigar nahin hota
baḌhte jaate hain raah men kanTe
yarab aage safar nahin hota
janta huun ma.al-e-betabi
dil pe qaabu magar nahin hota
ho na jab tak usi ka fazl-o-karam
qatra dariya ‘jigar’ nahin hota
Leave a Reply