• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaun Kya Munh Le Ke Main Wo Bad-Guman Ho Jaega

Jaun Kya Munh Le Ke Main Wo Bad-Guman Ho Jaega

poet

jaun kya munh le ke main vo bad-guman ho jaega

rang ke udne se ishq us par ayaan ho jaega

aish-e-bazm-e-be-khudi josh-e-fughan ho jaega

ham kahan honge jo raz-e-gham ayaan ho jaega

dusra aalam bane to ho sake taskin-e-husn

ab hai jitna ye to sarf-e-imtihan ho jaega

ta-ajal pahunchaegi ye na-tavani hijr men

zoaf badhte badhte zor-e-na-tavan ho jaega

meri khamoshi ko zalim jor-e-be-ja se na chhed

varna zabt-e-dil tiri zid se fughan ho jaega

shauq se ghairon men jaae main na hunga bad-guman

khu-e-bad se khud vo apna pasban ho jaega

dil-nashin hai alam-e-zauq-e-asiri ka khayal

ab dil-e-sayyad apna ashiyan ho jaega

gham se mere ghar men gunjaish nahin hai aish ki

naghma-khvan bhi aaega to nauha-khvan ho jaega

mausam-e-baran men kyuun hai dasht ka qasd ai junun

aj-kal to dasht apna hi makan ho jaega

khubi-e-guftar se samjhega kaun us ka javab

hashr saara mahv-e-andaz-e-bayan ho jaega

kya yaqin tha ham jo pahunchenge vahan ai josh-e-ashk

vahm apna badh ke us ka pasban ho jaega

kah sakega kuchh bhi ai ‘raghib’ na us khamosh se

be-dahan ke samne tu be-zaban ho jaega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nadiya-ambar-lodhi

dard Aur Gham Ke Mare Nikle Raat Safar Sahra Aur Main

poet

khaDa Hun Dhup Mein Sae Ki Justuju Bhi Nahin

ahmad-shanas

Phulon Mein Ek Rang Hai Aaankhon Ke Nir Ka

poet

Rachi Dimagh Mein Ho Jis Ke Us Badan Ki Bu

nida-fazli

Aadmi Ki Talash

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet