• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jatate Rahte Hain Ye Hadse Zamane Ke

Jatate Rahte Hain Ye Hadse Zamane Ke

jatate rahte hain ye hadse zamane ke

ki tinke jama karen phir na ashiyane ke

sabab ye hote hain har sub.h baagh jaane ke

sabaq paḌhate hain kaliyon ko muskurane ke

hazaron ishq-e-junun-ḳhez ke bane qisse

varaq hue jo pareshan mire fasane ke

hain e’tibar se kitne gire hue dekha

isi zamane men qisse isi zamane ke

qarar-e-jalva-numa.i hua hai farda par

ye tuul dekhiye ik muḳhtasar zamane ke

na phuul murgh-e-chaman apni ḳhush-nava.i par

javab hain mire naale tire tarane ke

usi ki ḳhaak hai mathe ki zeb banda-navaz

jabin pe naqsh paḌe hain jis astane ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tujhe Pa Ke Tujhse Juda Ho Gae Hum

anjum-rehbar

Rang Is Mausam Mein Bharna Chahiye

poet

Aashna-E-Dard Tu Ai KHugar-E-Ishrat Nahin

poet

Aaj Mai-KHane Mein Barkat Hi Sahi

poet

Allah Allah KHun-E-Ghariban

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet