jasad ne jaan se puchha ki qalb-e-be-riya kya hai
ḳhitab aaya ki a.ine men jauhar ke siva kya hai
ayaan a.ine men hai surat-e-ma.ani-safa kya hai
nihan taskin men hai iztirab-e-dil riya kya hai
miTana aap ko nabud ho jaana fana kya hai
samana aap men aur ḳhud ba-ḳhud hona baqa kya hai
do-alam jalva-gah-e-husn men ain-e-basirat men
ye aks-e-shaḳhs hai a.ine men surat-numa kya hai
vo yakta zaat hai ain-e-surur-e-ilm-o-haq ai dil
nihan kasrat men vahdat ho ga.i hai ma-siva kya hai
qidam hai zat-e-vahid haal hai mazi-o-mustaqbil
azal se ta abad ki ibtida kya intiha kya hai
miTa kar dil se pindar-e-ḳhudi insaf se dekho
ki be-zauq-e-tamanna hasti-e-bim-o-raja kya hai
na the aape men muusi varna un ka hausla kya tha
jo bol uThte ki aa parda se bahar dekhta kya hai
tajalli ban ga.i ‘sahir’ naqab-e-ru-e-jan-e-jan
ki didan hukm-e-na-didan hai yarab majra kya hai
Leave a Reply