jang men ja.ega ab mera hi sar jaan gaya
aur hoga na koi sina-sipar jaan gaya
mujh shanavar ko Dubo sakte nahin donon harif
main bhi tufan ka dariya ka hunar jaan gaya
unchi parvaz ki himmat bhi to kar le kargas
laakh shahin ka andaz-e-safar jaan gaya
aaj talvar hui jaati hain shaḳhen us ki
jang honi hai havaon se shajar jaan gaya
is ke angan men bhi miTTi ke siva kuchh bhi nahin
chand ke ghar men jo pahuncha to bashar jaan gaya
Leave a Reply