• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nind Aati Hi Nahin dhadke Ki Bas Aawaz Se

Nind Aati Hi Nahin dhadke Ki Bas Aawaz Se

bhartendu-harishchandra

niind aati hi nahin dhadke ki bas avaz se

tang aaya huun main is pur-soz dil ke saaz se

dil pisa jaata hai un ki chaal ke andaz se

haath men daman liye aate hain vo kis naaz se

saikadon murde jalae ho masiha naaz se

maut sharminda hui kya kya tire eajaz se

baghban kunj-e-qafas men muddaton se huun asiir

ab khule par bhi to main vaqif nahin parvaz se

qabr men rahat se soe the na tha mahshar ka khauf

baaz aae ai masiha ham tire eajaz se

vaae ghaflat bhi nahin hoti ki dam bhar chain ho

chaunk padta huun shikast-e-hosh ki avaz se

naaz maashuqana se khali nahin hai koi baat

mere lashe ko uthae hain vo kis andaz se

qabr men soe hain mahshar ka nahin khatka ‘rasa’

chaunkne vaale hain kab ham suur ki avaz se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ismail-merathi

Kaam Agar Hasb-E-Muddaa Na Hua

akhtar-bastavi

Samundar Ki Pyas

kishwar-naheed

Kutte Aur Khargosh

poet

Ab Apne Des Ki Aab-O-Hawa Hum Ko Nahin Bhati

Wafa Ko Kahan Bewafa Jaanta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet