jalvon ka jo tere koi pyasa nazar aaya
vo zaat men apni hamen dariya nazar aaya
zad par jo nigahon ki vo chehra nazar aaya
kuchh rang-e-haya aur nikharta nazar aaya
ye husn-e-taghazzul ka karishma nazar aaya
vo jan-e-ghazal sher sarapa nazar aaya
ik silsila-e-la-mutanahi tha gham-e-ishq
arman se arman nikalta nazar aaya
rashk-e-mah-o-ḳhurshid vo miTTi ka diya tha
jo ruḳh pe havaon ke bhi jalta nazar aaya
main ne to kabhi aap ko tanha nahin dekha
main aap ko mahfil men bhi tanha nazar aaya
dil mera bhar aaya ba-gham-e-tark-e-mohabbat
ḳhali tha magar jaam chhalakta nazar aaya
parde pe jami rah ga.iin ḳhamosh nigahen
yuun bhi pas-e-parda tira chehra nazar aaya
mujh par to jami thiin tiri mahfil ki nigahen
main vo tha ki mahfil men bhi tanha nazar aaya
saaqi ne mujhe ḳhaas nigahon se jo dekha
sho.ala sa mire jaam se uThta nazar aaya
ik dushman-e-iman se ho ummid-e-vafa kya
kab dasht men divar ka saaya nazar aaya
ḳhush-rang hua aur tiri yaad ka manzar
palkon pe agar koi sitara nazar aaya
suuli pe chaḌha koi koi tuur pe pahuncha
‘aḳhgar’ tire kuche se guzarta nazar aaya
Leave a Reply