Kaise toDi Gai Ye Hadd-E-Adab Puchhte Hain

kaise toḌī ga.ī ye hadd-e-adab pūchhte haiñ

phuul shāḳhoñ se lachakne kā sabab pūchhte haiñ

shāḳh jis shāḳh se Takrā.ī hai jhuum uTThī hai

peḌ aapas meñ kahāñ nām-o-nasab pūchhte haiñ

koī andāza kare chāñd kī bechainī kā

jab sitāre kabhī sūraj kā laqab pūchhte haiñ

aañkh jaise hī jhapaktī hai hamesha kuchh ḳhvāb

kitne din ba.ad mayassar huī shab pūchhte haiñ

gungunāte hue ma.asūm se jharne ‘shāhid’

kyuuñ hai dariyāoñ meñ hī qahr-o-ġhazab pūchhte haiñ

Leave a Comment