jalva afroz hai ka.abe ke ujalon ki tarah
dil ki ta.amir ki kal tak thi shivalon ki tarah
aql-e-varafta ke be-nur bayabanon men
ham bhaTakte rahe avara ḳhayalon ki tarah
ham ki is bazm men hain saya-e-gham ki surat
kaun dekhega hamen zohra-jamalon ki tarah
haath baḌhta nahin rindon ka hamari janib
ham ḳharabat men hain ḳhali pyalon ki tarah
jab koi ḳhar-e-sitam dil men utar aata hai
phuuT kar rota hai dil paanv ke chhalon ki tarah
jab bhi paḌhta huun kitab-e-gham-e-hasti ai dil
tazkira un ka bhi milta hai havalon ki tarah
soz-o-ehsas ki tasvir hai qalb-e-sha.er
naghme taḳhliq hua karte hain nalon ki tarah
arsa-e-dahr men ki ham ne basar ‘yazdani’
zulmat-e-shab ki tarah din ke ujalon ki tarah
Leave a Reply