jala ke dil ko rakha sub.h-o-sham roz-o-shab
mira kamal kamal-e-charagh hai ki nahin
raha hai musht-e-turab-e-azal mira mamba.a
miri ye ḳhak-e-kamal-e-ayagh hai ki nahin
mujhe banaya sarapa saval ab to bata
miri talash kamal-e-suragh hai ki nahin
gham-e-vajud ka matam karun to kaise jiyun
magar ḳhuda tire daman pe daagh hai ki nahin
jo kho gaya tira ‘ahan’ sarab-e-ḳhvahish men
bhaTak na jaaen kahin be-dimagh hai ki nahin
Leave a Reply