jala hai kis qadar dil zauq-e-kavish-ha-e-mizhgan par
ki sau sau nashtaron ki nok hai ik ik rag-e-jan par
paḌa hoga magar aks-e-ezar-e-lala-gun varna
ye gustaḳhi hamara ḳhuun aur qatil ke daman par
tariq-e-ishq men hai ranj pahle aur ḳhushi pichhe
madar-e-sub.h roz-e-vasl hai ik sham-e-hijran par
miri divangi roz-e-qayamat mere kaam aa.i
qalam rahmat ka khincha us ne aḳhir mere isyan par
agar un ke taghaful ko hai da.ava apni tamkin ka
hamari ḳhud-faramoshi ko hai naaz apne nisyan par
Leave a Reply