aao to bahal jaa.e mera dil-e-divana
gulshan hai baharan hai labrez hai paimana
jab ghaur se sunte hain vo ishq ka afsana
kis tarah machalta hai mera dil-e-divana
aankh uThne lagi teri aur sharm zara kam ho
shishe men dikha dunga phir tujh ko pari-ḳhana
is shoḳh-nigahi ki tarif nahin mumkin
laḌti hai nazar jis se ban jaati hai begana
ye abr shafaq-agun ye sard hava saaqi
ik aur surahi la ik aur de paimana
ashiq ka abhi rutba samjha hi nahin tu ne
dekhne men hai divana matlab ka hai farzana
vo bazm men aa baiThe ab sham.a bujha diije
marne ko vo aata hai parvane pe parvana
‘shankar’ ki ghazal sun kar tarif karo dil se
sab sanche men Dhalte hain ye qaul-e-hakimana
Leave a Reply