der tak main tujhe dekhta bhi raha
saath ik soch ka silsila bhi raha
main to jalta raha par miri aag men
ek shola tire naam ka bhi raha
shahr men sab se chhoTa tha jo aadmi
apni tanha.iyon men ḳhuda bhi raha
zindagi yaad rakhna ki do chaar din
main tire vaste mas.ala bhi raha
rang hi rang tha shahr-e-jan ka safar
raah men jism ka hadsa bhi raha
tum se jab guftugu thi to ik ham-suḳhan
koi jaise tumhare siva bhi raha
vo mira ham-nashin ham-nava ham-nafas
bhunkta bhi raha kaTta bhi raha
Leave a Reply