apne rahne ka Thikana aur hai
ye qafas ye ashiyana aur hai
maut ka aana bhi dekha bar-ha
par kisi par dil ka aana aur hai
naaz uThane ko uThate hain sabhi
apne dil ka naaz uThana aur hai
dard-e-dil sun kar tumhen niind aa chuki
banda-parvar ye fasana aur hai
raat bhar men sham-e-mahfil jal-bujhi
ashiqon ka dil jalana aur hai
ham kahan phir baghban gulshan kahan
ek do din ab-o-dana aur hai
bholi bholi un ki baten ho chukin
ab ḳhuda rakkhe zamana aur hai
chhoḌ duun kyunkar dar-e-pir-e-mughan
koi aisa astana aur hai
yar-e-sadiq DhunDte ho tum ‘jalil’
mushfiq-e-man ye zamana aur hai
Leave a Reply