jahan valon se barti is qadar be-gangi main ne
ki barham kar liya apna nizam-e-zindagi main ne
sikha.e husn-e-kafir ko saliqe ḳhud-numa.i ke
sanvara pai-ba-pai apna mazaq-e-ashiqi main ne
hue raushan na phir bhi bam-o-dar fikr-o-tasavvur ke
hazaron baar ki bazm-e-jahan men raushni main ne
dil-e-na-aqibat-andesh ki kotah-bini ki
kabhi ta.id ki main ne kabhi tardid ki main ne
hazaron baar tahzib-o-tamaddun ki faza badli
hazaron baar ik duniya na.i abad ki main ne
kya ifsha na raz-e-gham kisi par jite-ji ‘farigh’
baḌe sabr-o-tahammul se basar ki zindagi main ne
Leave a Reply