jafa ki us se shikayat zara nahin aati
vo yaad hi hamen shukr-e-ḳhuda nahin aati
nikal ke ta-ba-lab ah-e-rasa nahin aati
karahta hai jo ab dil sada nahin aati
hamari ḳhaak ki miTTi hai kya ḳharab ai charḳh
kabhi idhar ko udhar ki hava nahin aati
shab-e-visal kahan ḳhvab-e-naz ka mauqa.a
tumhari niind ko aate haya nahin aati
adu hamari ayadat ko le ke aa.e unhen
kahan ye mar rahi ab bhi qaza nahin aati
lahad pe aa.e the do phuul bhi chaḌha jaate
abhi tak aap men bu-e-vafa nahin aati
miri lahad ko vo un ka ye kah kar Thukrana
sada-e-nara-e-sad-marhaba nahin aati
sitam hai aur mire dil-shikan ka ye kahna
shikast-e-shisha-e-dil ki sada nahin aati
‘jalal’ ham ye na manenge tu use nahin yaad
tujhe kabhi koi hichki bhi kya nahin aati
Leave a Reply