hudud-e-zat men auron ka zikr hi kya hai
ḳhud aadmi bhi na samjha ki aadmi kya hai
ye fasle jo tire qurb ki zamanat hain
simaT ga.e to bata.unga zindagi kya hai
hami ko ḳhaak samajh lo tumhari umr-e-daraz
ye tazkira to mukammal ho aadmi kya hai
hijab-e-zat se bahar kahan abhi ham log
abhi ye kaun bata.e ki aadmi kya hai
kaha na tha ki mohabbat ka tazkira na karo
kise ḳhabar thi ki me.araj-e-zindagi kya hai
saval ye hai ki tum kya nigah rakhte ho
niyaz-mand to vaqif hai bandagi kya hai
rava nahin hai musalsal gurez-e-naqd-o-nazar
kabhi kabhi to batao ki zindagi kya hai
abhi to mujh se ḳhuda.i ki had men baat karo
ḳhuda bano to batana ki aadmi kya hai
jabin-e-shauq pe sajdon ke daagh ai ‘anjum’
ye bandagi hai to me.ar-e-bandagi kya hai
Leave a Reply