mujh sa bhi koi ishq men hai bad-guman nahin
kya rashk dekh kar mujhe rang-e-khizan nahin
ankhon se dekh kar tujhe sab manna pada
kahte the jo hamesha chunen hai chunan nahin
uth kar sahar ko sajda-e-mastana ke siva
taaat qubul khatir-e-pir-e-mughan nahin
afsurda dil ho dar dar-e-rahmat nahin hai band
kis din khula hua dar-e-pir-e-mughan nahin
ai jazb-e-shauq rahm ki madd-e-nazar hai yaar
ja sakti vaan talak nigah-e-na-tavan nahin
shab us ko hal-e-dil ne jataya kuchh is tarah
hain lab to kya nigah bhi hui tarjuman nahin
katti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq
shayad ki gardish aaj tujhe asman nahin
achchha hui nikal gai ah-e-hazin ke saath
ik qahr thi bala thi qayamat thi jaan nahin
jaane hai dil falak ka miri sakht-janiyan
un na-tavaniyon ko pahunchti tavan nahin
kahta huun us se kuchh main nikalta hai munh se kuchh
kahne ko yuun to haigi zaban aur zaban nahin
mahka hua hai bait-e-huzan dekhna koi
aaya nasim-e-misr ka ho karvan nahin
lab band huun to rauzan-e-sina ko kya karun
thamta to mujh se nala-e-atish-inan nahin
kya kuchh na kar dikhaun par ik din ke vaste
milta bhi ham ko mansab-e-haft-asman nahin
vo shakh-e-nakhl-e-khushk huun men kunj-e-bagh men
dekhe hai bhuul kar bhi jise baghban nahin
be-vaqt aae dair men kya shorishen karen
ham pir-opir-e-mai-kada bhi naujavan nahin
‘azurda’ ne padhi ghazal ik mai-kade men kal
vo saf-tar ki sina-e-pir-e-mughan nahin
Leave a Reply