• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Yar Ne Utha Kar Zulfon Ke Baal Bandhe

Jab Yar Ne Utha Kar Zulfon Ke Baal Bandhe

sauda-mohammad-rafi

jab yaar ne utha kar zulfon ke baal bandhe

tab main ne apne dil men lakhon khayal bandhe

do din men ham to rijhe ai vaae haal un ka

guzre hain jin ke dil ko yaan mah-o-sal bandhe

tar-e-nigah men us ke kyunkar phanse na ye dil

ankhon ne jis ke lakhon vahshi ghazal bandhe

jo kuchh hai rang us ka so hai nazar men apni

go jaama zard pahne ya chira laal bandhe

tere hi samne kuchh bahke hai mera naala

varna nishane ham ne maare hain baal bandhe

bose ki to hai khvahish par kahiye kyunki us se

jis ka mizaj lab par harf-e-saval bandhe

maroge kis ko ji se kis par kamar kasi hai

phirte ho kyuun pyare talvar dhaal bandhe

do-char sher aage us ke padhe to bola

mazmun ye tu ne apne kya hasb-e-hal bandhe

‘sauda’ jo un ne bandha zulfon men dil saza hai

sheron men us ke tu ne kyuun khatt-o-khal bandhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Comments

  1. Ayesha khatoon says

    December 31, 2020 at 9:02 am

    Jab yaar ne utha kr zulfo k baal bandhe is sher ka tashri hame batye urdu me
    Plz

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apna Girya Kis Ke Kanon Tak Jata Hai

ahmad-mahfuz

Chhodo Ab Us Charagh Ka Charcha Bahut Hua

poet

Nazuk Aisa Nahin Kisi Ka Pet

Isi KHatir to Uski Aarti Humne Utari Hai

Be-Sabab Aaj Aankh Pur-Nam Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet