jab us ki tasvir banaya karta tha
kamra rangon se bhar jaaya karta tha
peḌ mujhe hasrat se dekha karte the
main jangal men paani laaya karta tha
thak jaata tha badal saaya karte karte
aur phir main badal pe saaya karta tha
baiTha rahta tha sahil pe saara din
dariya mujh se jaan chhuḌaya karta tha
bint-e-sahra ruTha karti thi mujh se
main sahra se ret churaya karta tha
Leave a Reply