jab unhi ko na suna paa.e gham-e-jan apna
chup lagi aisi ki ḳhud ho ga.e zindan apna
na-rasa.i ka bayaban hai ki irfan apna
is jagah ahrman apna hai na yazdan apna
dam ki mohlat men hai tasḳhir-e-mah-o-mehr ki dhun
saans ik silsila-e-ḳhvab-e-darḳhshan apna
talab us ki hai ki jo sarhad-e-imkan men nahin
meri har raah men haa.il hai bayaban apna
kaisi duuri usi shole ki hai zau mera jamal
jis se tabinda raha dida-e-giryan apna
armughan hain tiri chahat ke shagufta lamhe
be-ḳhudi apni shab apni mah-e-taban apna
is tarah aks paḌa tere shafaq honTon ka
sub.h-e-gulzar hua sina-e-viran apna
aisi ghaḌiyan ka.i mujh aison pe aa.i hongi
vaqt ne jin se saja rakkha hai aivan apna
Leave a Reply