• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aish-O-Ishrat Sab Sahi Ye dam Nahin To Kuchh Nahin

Aish-O-Ishrat Sab Sahi Ye dam Nahin To Kuchh Nahin

riyaz-khairabadi

aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin

ek duniya ho to kya jab ham nahin to kuchh nahin

surmagin ankhon men ashk-e-gham nahin to kuchh nahin

dast-e-rangin se mira matam nahin to kuchh nahin

subh ko shab ke satane ka gila-shikva abas

jab pareshan gesu-e-barham nahin to kuchh nahin

ishq se thoda bahut to hai har insan ko lagao

dil men kuchh kuchh dard kuchh kuchh gham nahin to kuchh nahin

is kamar par is nazakat par ye sidhi chaal kyuun

bal nahin to kuchh nahin kuchh kham nahin to kuchh nahin

us ki shokhi ne use ai dil chhupa rakkha kahan

hashr men vo fitna-e-alam nahin to kuchh nahin

milne valon ka baham mil baithna bhi lutf hai

jamghate shab ko sar-e-zamzam nahin to kuchh nahin

us ki raunaq aur hai us ka asar kuchh aur hai

un ki mahfil men mira matam nahin to kuchh nahin

pyare pyare achchhe achchhe munh se haan kah de kabhi

tere sadqe ye tiri har-dam nahin to kuchh nahin

baal khole tum ne to kya chudiyan todin to kya

mere marne ka jo dil se gham nahin to kuchh nahin

baat jis ki thi gai saaqi vo us ke dam ke saath

jam-e-jam ho bhi to kya jab ham nahin to kuchh nahin

phuut kar rona nahin to phuut hi jaaen ‘riyaz’

kaam ke jab dida-e-pur-nam nahin to kuchh nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Use Shikast Na Hone Pe Man Kitna Tha

Bijliyan Pi Ke Jo uD Jate Hain

Kya Jaane Kahan Bahr-E-Ulfat Ka Kinara Hai

parveen-shakir

Apni Ruswai Tere Nam Ka Charcha dekhun

poet

Hum Mar Gae Pa Shikwe Ki Munh Par Na Aai Baat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet