jab sitara thak gaya
gardish se roz-o-shab ki
tu baith gaya ghus kar
fōtball stadium men
cinema-hall men
shadi ki taqrib men
janaze ki namaz men
vo koshish kar raha tha
dekhne ki aur samajhne ki
taaki hansana shurua kar de
rone ke maqam par
ya us ke bar-aks
vo ahista ahista sab kuchh jaan jaata
aur shayad sab thiik kar deta
magar phir bezar ho kar so gaya
meri qismat ka sitara
Leave a Reply