jab se teri ata nahin maujud
ek bhi iltija nahin maujud
dekh aa kar miri hatheli men
kya hai maujud kya nahin maujud
Dhiil dene ka ye nahin matlab
tum samajh lo ḳhuda nahin maujud
kya rasa.i hai dastaras kya hai
jab koi hausla nahin maujud
ab bhala kyuun hava.en pagal hain
ab to koi diya nahin maujud
Leave a Reply