ik qabile se hain lekin rang-o-naqsha aur hai
aur hai kanTon ki duniya gul ki duniya aur hai
ishtirak-e-fikr ho kaise hamare darmiyan
teri ḳhvahish aur hai meri tamanna aur hai
aur hi manzar hai duniya ka sar-e-tur-e-nazar
chashm-e-dil ke samne lekin tamasha aur hai
aarzu ke bahr-o-dariya ki kahani kya kahun
is ka sahil aur hai is ka kinara aur hai
dekhna tufan men ghir kar na rah jaa.e kahin
naḳhuda ye arzuon ka safina aur hai
ab badalna hi paḌega ye tariq-e-zindagi
ab miri jaan surat-e-halat-e-duniya aur hai
dushmanon ka haath is men hai na yaron ka qusur
inqita-e-dosti ka shaḳhsana aur hai
zindagi ke moḌ par ‘shahid’ milen phir kis tarah
us ka rasta muḳhtalif hai mera rasta aur hai
Leave a Reply