jab safar ko main ne thama tha ye andha rasta
aaj rota hai magar qadmon se lipTa rasta
tairti phirti hain charon samt rangin titliyan
TeḌha TeḌha uncha nicha giila kachcha rasta
kaun sunta tha kisi ki koi kya kahta vahan
mere kandhe pe safar tha main ne pakḌa rasta
vo jo guzra tha yahan se kya pata lauTe kabhi
kya ḳhala men takta rahta hai tanha rasta
mujh ko jalti aag milti tum ko ThanDa ab-e-ju
apni apni justuju hai apna apna rasta
resha resha zaḳhm tha lauTa safar se jab ‘shamim’
aur mujh se bhi ziyada hanpta tha rasta
Leave a Reply