• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Ki Sar Par Wabaal Aata Hai

Jab Ki Sar Par Wabaal Aata Hai

poet

jab ki sar par vabal aata hai

pech men baal baal aata hai

kab payam-e-visal aata hai

khvab hai jo khayal aata hai

tegh-e-irfan se ruuh bismil hai

haal par apne haal aata hai

shal hai har chand panja-e-mizgan

par kaleja nikal aata hai

kya ajab ishq ho jo piiri men

duudh men bhi ubaal aata hai

khuub chalti hai naav kaghaz ki

ghar men qaazi ke maal aata hai

dher hai dil men ab kudurat ka

mitti lene kalal aata hai

chal nikalti hai kashti-e-aamal

araq-e-infial aata hai

hijr ke din yuun hi guzarte hain

maah jaate hain saal aata hai

tere ankhon ke samne sayyad

zabh hone ghazal aata hai

jis ne us ki gali men phal paaya

kha ke patthar nihal aata hai

sar kata kar shahid hote hain

umr kho kar kamal aata hai

na milega siva muqaddar se

jehl hai ja malal aata hai

bahr-e-zar gul hai palla-e-mizan

til ke kante pe maal aata hai

‘bahr’ ki sun ke arifana ghazal

shah-e-dariya ko haal aata hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aazim-kohli

Aa Ki Chahat Wasl Ki Phir Se Badi Pur-Zor Hai

akbar-allahabadi

Hasinon Ke Gale Se Lagti Hai Zanjir Sone Ki

Maza Lams Ka Be-Zabani Mein Tha

Wo Nur-E-Subh-E-Tilismi Hamare Ghar Mein Gira

Thahre to Kahan Thahre aaKHir Meri Binai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet