munh dekha kiye ham aa.ine ka
hasil hai yahi to ratjage ka
aa.en jo pahaḌ bhi to kya gham
raahi huun hava ke raste ka
dil hai mira ḳhanqah meri
main miir huun apne silsile ka
kya ab hai hunar-vari men rakkha
ye daur hai dhun ka aur gale ka
baiThe hain sarab har qadam par
mumkin nahin bachna qafile ka
hain saari jihat dastaras men
be-kar hai zikr fasle ka
ḳhud men to nahin hai kuchh andhera
ghar jhank raha hai dusre ka
divar-e-ana giregi kaise
hal koi nikalo mas.ale ka
ho jaa.en juda to mar hi jaa.en
rishta hai lavon se kya diye ka
kahna to bahut main chahta huun
daman hai tang qafiye ka
ash.ar-e-‘mujib’ paḌh ke dekho
mahir huun har ek zaviye ka
Leave a Reply