mat bura us ko kaho garche vo achchha bhi nahin
vo na hota to ghazal main kabhi kahta bhi nahin
janta tha ki sitamgar hai magar kya kiije
dil lagane ke liye aur koi tha bhi nahin
jaisa be-dard ho vo phir bhi ye jaisa mahbub
aisa koi na hua aur koi hoga bhi nahin
vahi hoga jo hua hai jo hua karta hai
main ne is pyaar ka anjam to socha bhi nahin
haa.e kya dil hai ki lene ke liye jaata hai
us se paiman-e-vafa jis pe bharosa bhi nahin
barha guftugu hoti rahi lekin mira naam
us ne puchha bhi nahin main ne bataya bhi nahin
tohfa zaḳhmon ka mujhe bhej diya karta hai
mujh se naraz hai lekin mujhe bhula bhi nahin
dosti us se nibah jaa.e bahut mushkil hai
mera to va.ada hai us ka to irada bhi nahin
mere ash.ar vo sun sun ke maze leta raha
main usi se huun muḳhatib vo ye samjha bhi nahin
mere vo dost mujhe dad-e-suḳhan kya denge
jin ke dil ka koi hissa zara TuuTa bhi nahin
mujh ko banna paḌa sha.ir ki main adna gham-e-dil
zabt bhi kar na saka phuuT ke roya bhi nahin
sha.iri jaisi ho ‘ajiz’ ki bhali ho ki buri
aadmi achchha hai lekin bahut achchha bhi nahin
Leave a Reply