jab ho gaya kamal to cigarette jala liya
ya phir hua malal to cigarette jala liya
ḳhud par kisi ko hansne ka mauqa nahin diya
puchha kisi ne haal to cigarette jala liya
sukhe gale se lafz ko laana tha zehn tak
jab aa gaya ḳhayal to cigarette jala liya
ghusse men ḳhuun ke ghunT to piita raha magar
ankhen huiin jo laal to cigarette jala liya
achchhi nahin hai shai magar ‘ahya’ main kya karun
karna hai shukr-e-hal to cigarette jala liya
Leave a Reply