• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Chaaron-or Andhera Tha Sach Kam Tha jhuT Ghanera Tha

Jab Chaaron-or Andhera Tha Sach Kam Tha jhuT Ghanera Tha

jab charon-or andhera tha sach kam tha jhuuT ghanera tha

dariya se baḌe ik shaḳhs ka ik dariya ke kinare Dera tha

vo tha kuchh us ke bachche the kuchh saath the aur kuchh ghar vaale

a.ine se kore dil vaale kohsar se unche sar vaale

ye log vafa ke haami the na-mus-o-haya ke haami the

bas ek rasul ke qaa.il bas ek ḳhuda ke haami the

is da.i-e-amn-o-mohabbat ke raste men dushman ki faujen

yuun barson phail ga.iin jaise chaḌhte dariya ki maujen

batil ke haath pe ye zulm haq valon se bai.at lete the

mehman bana kar laa.e the paani bhi na piine dete the

insaf ki pyaar ki ashti ki sab baten jab be-kar ga.iin

vo mard-e-mujahid haq ke liye kaT marne ko tayyar hua

afrad pe bhi aqvam pe bhi ye mushkil aati rahti hai

har daur men haq-o-batil ki quvvat Takrati rahti hai

phir jang hui vo jang jise ta-hashr na bhulega koi

vo zulm hue jin par ab tak har shahr men matam hote hain

us zulm ka qissa lamba hai us jang ki pustak bhari hai

vo jang jo kab ki ḳhatm hui vo jang abhi tak jaari hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ham-Rahi Ki Baat Mat Kar Imtihan Ho Jaega

poet

shoKHi Uf-Re Teri Nazar Ki

Wadi-E-Kun Se Gham-E-Marhala-Paima Nikla

Kuchh Der to Duniya Mere Pahlu Mein khaDi Thi

Dil Gham-E-Rozgar Se Nikla

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet