janta huun harif-e-jan hain sab
haan magar aaj vo kahan hain sab
ek main hi zamin ki surat huun
aur baaqi to asman hain sab
kaun meri zaban samajhta hai
yuun to kahne ko ham-zaban hain sab
main sabhi ko samajhta haq-go huun
aur mujh se hi bad-guman hain sab
kaun si maslahat hai jo mujh par
is qadar aaj mehrban hain sab
sun ke saare hi sanehat mire
log bole ki dastan hain sab
Leave a Reply