jaane vo kaun tha aur kis ko sada deta tha
us se bichhḌa hai koi itna pata deta tha
koi kuchh puchhe to kahta ki hava se bachna
ḳhud bhi Darta tha bahut sab ko Dara deta tha
us ki avaz ki be-dagh sa a.ina thi
talḳh jumla bhi vo kahta to maza deta tha
din-bhar ek ek se vo laḌta-jhagaḌta bhi bahut
raat ke pichhle-pahar sab ko dua deta tha
vo kisi ka bhi koi nashsha na bujhne deta
dekh leta kahin imkan to hava deta tha
ik hunar tha ki jise pa ke vo phir kho na saka
ek ik baat ka ehsas naya deta tha
jaane basti ka vo ik moḌ tha kya us ke liye
shaam Dhalte hi vahan sham.a jala deta tha
ek bhi shaḳhs bahut tha ki ḳhabar rakhta tha
ek taara bhi bahut tha ki sada deta tha
ruḳh hava ka koi jab puchhta us se ‘bani’
muTThi-bhar ḳhaak ḳhala men vo uḌa deta tha
Leave a Reply