jaane kya aisa use mujh men nazar aaya tha
mujh se milne vo bulandi se utar aaya tha
koi to garmi-e-ehsas se milta us se
itne din ba.ad to vo lauT ke ghar aaya tha
vo mire paanv ka chakkar tha ki manzil thi miri
ghum-phir kar vahi har baar khanDar aaya tha
vo mire saath tha sahra ho ki dariya ‘farruḳh’
us ke hote hue kya lutf-e-safar aaya tha
Leave a Reply